top of page

Ahmed Nay Jub Sochna Seekha. When Ahmed Learned To Think.

Updated: Sep 17, 2021

Aik Kahani - Ahmed Nay Jub Sochna Seekha. When Ahmed Learned To Think.

Ghaib Say Madad - Help from The Unseen - Kahani number 1




Salam Batchon.



Humain umeed hay kay aap jahan kahin bhi hon, aur humain sun rahain hon, tou saath khayriyat kay hon, aur apni sehat aur khanay peenay ka khaas khayal rakh rahain hon gae. Kiyunkay asli ghiza humaray jism kay liyay behtur hay.


Ye tou bohot hee accha hua, kay aap kay mummi daddy ya abbu ammi ya phir khisi qareebi dost nay aap ko humari “Aik Kahani” say ta’arruf karwadiya, ab aap ko apna waqat guzarnay kay liyay junk food , video games, ya phir sirf cartoons ki zarorat nahin paray gee, kiyunkay bajayay iss kay, kay aap kisi aisi cheez par apna waqat zaya karain jiss say aap ko koi faida na millay, iss say behtar hay kay aap “Aik Kahani” sunaain, iss say aap ko koei acchi chezz, seekhnay ko mil sakti hay, jaisya aik muzbat soch, jo aap ki zaindagi may aap kay kaam aa sakti hay.


Tou phir aaj hum kon si kahani sun rahain hain?


“Ahmed nay jub Sochna seekha”?


Hmm….. chalain, iss ka mutlub hay kay ye Ahmed ki khaniyan hain aur Ahmed sahab ab baray ho rahay hain, mager ye episode, Ghaub say madad?, Iss ka mutlub kiya hay?

Aaj hum Urdu ka aik naya lufz seekthay hain, “Ghaib”, ghaib kay maaenay hain, wo jo aap abhi apni ankhoon say dhaik nahin sak tay, ya aap ko nazr nahin araha ho, magar apni jugha kahin moujood ho, jaisay, maira aur aap ka dil..., hum ussay daikh tou nahin saktay na, wo aik tarhan say ghaib may hay, ankhon say chuppa hua, humari chati kay andar, maager hum ussay mehsoos tou kar saktay hain, challain, apnay dill par hath rakhain, aur zara sunain, dhak dhak, dhak dhak, dill ki dharkan, app sun rahain hay ? Ye app ka dil hay, mujhay tou itniiiiiii dur say nazar nahin aaraha, magar aap tou zinda hain na? Issi tarhan, hum kabhi baghair kisi badlay kay kisi aur ki madad kartain hain, aur phir bhool jatay hain, aur phir kisi aur din ja kar kabhi kahin Ghaib say humain madad bhaij di jati hay aur humain madad mil jati hay...


Tou himmat kabhi nahin hartay, okay? Good. Bohot khub....


“Ahmed nay jub Sochna seekha”?



Hum aaj aik aisi kahani ki ibtida kar rahay hain, jiss say aap ko zindagi guzarnay kay muzbat pehluon ko samajhnay aur phir unko seekhnay may madad milay gee aur jiss may aap ki soch ka imtihan bhi hoga. Our phir ayayga mazza jub kahani bhi acchi ho aur uss ka result bhi accha niklay.


Iss kahani series kaa naam hay, “Ahmed nay jub Sochna seekha”? …


is may aap ko hur qist ya episode may Ahmed ki hee mukhtalif kahaniyan sunnay ko milain ge. Aur ye kahani aik aap kay hee jaisay batchay ki hay jo abhi apni zindagi shuru kar raha hay.


Ahmed Amoz ki umer saat saal hay, aur wo class 2 may hay aur apany dono walidain kay sath Karachi may rehta hay. Ahmed kay Walid Amoz Shakoor aik kissan hain aur apna chota say sabziyon ka farm chalatain hain. Ahmed is Walida Sabar Amoz apnay khandan ki parwarish may musroof rehtin hain. Kiyunkay Ahmad apnay walidan ka iklota batcha hay, aur kafi arsay kay intizaar kay baad paida hua aur ab bara ho raha hay , Ahmed ki ankhain aur soch dono bohot saray sawalat ka jawabat dhond rahin hain, issi liyay Ahmad kay Abbu Amoz Shakoor aur Ammi Sabar Amoz koshish kar rahain kay kay Ahmed kay sath ziyada waqat guzarain takay wo akaila nahi mehsoos karay aur wo Ahmed ko aik musbat soch aur pukhta iraday bhara shuks bun nay may Ahmed ki madad karsakain. Hur episode may aap ko Ahmed ki rozana ki zindagi may honay walay waqiyat ki kahanian sunnay ko milain gee jo shaid aap nay khud apni zindagi may bhi daikhain ho ya un hi jaisay waqiyat say guzr rahain hon.


Ye kahani bhi aik aisay he din ki tarhan shuru hoti hay jaisay rozana aik naya din shuru hota hay.


Magar iss din jub school kay baad Ahmed ghar aaya, tou uss ki Ammi nay kaha,


Mrs. Amoz - Array Ahmed baita, ajj aap ammi kay sath bazar chalo gae? App mummi ki thori madad bhi kardijiyay ga aur aap ko jo kitab chahiyay thee wo bhi laylain gae.


Ahmed - Ji Ammi.


Ahmed sahab khusi khushi apni Ammi kay sath bazar kay liyay rawana hogae.


Jub raastay main dur aik fakeer nazar aaya aur uss nay Ahmed ko hath kay isharay say salam kiya, tou Ahmed nay foran sochna shuru kar diya, Ahmed ko mehsoos hua kay ye insaan kisi mushkil may hay. Chaltay chaltay Ahmed nay socha, mairay pass tou kutch bhi nahin hay, jo may iss fakeer ko day sakon, Ahmed kay nannay dil may aik sawal uttha, main iss fakeer ki kis tarhan madad karsakta huin? Ussi waqat Ahmed ko yaad aya kay uss ki aik jaib may sirf do tofeeiyan baqi reh gayeen theen.

Ahmed nay foran hee dono tofeeyan jaib say nikal kay fakeer kay hath may rakh deen.


Fakir nay Ahmed ko daykha, aur phir tofeeyun ko daykha, aur phir Ahmed ko dobara daykha, aur phir tofeeyon par aik lambi nazar dali,

Ahmed nay socha, ye mayna kiya kar diya, ye fakeer baba tou na khush lug rahay hain.


Iss doran Ahmed ki Ammi ki ankhain saktay main sub kutch daikh raheen hain. Aur himmat rakhtay huay wo kutch na boleen.


Fakeer nay neechat daikhtay zara socha, aur phir sur uttha kay bola.


Fakeer - Aray naujawan, main tou aaj yehi dua mang raha tha, kay shaid koi banda mujhay toffee day ga, kiyunkay main nay ye kaafi salon say nahin khaain theen, aur aaj in ki mithaas bohot yaad arahee thee


Ahmed nay ye suntay aik sukoon ka sanns liya, aur khilkhiladiya. Phir massomiyat say bola, Farkeer sahab, mairay pass buss ye hee theen.


Fakeer nay Ahmed ka shukriya adda kiya aur Ahmed nay muskuratay huay kaha, salam. Aur anay rastay chalta bana.


Ahmed ki Ammi , Mrs. Amoz, ye sub baray ghor say daikh raheen theen, kay chund minton may ye sub kiya hua... aur abhi tuk aik lafz bhi nahin bolin thee. Unhon nay Ahmed say poocha,


Mrs. Amoz - Ahmed bayta, aap nay mujh say kutch paisay kiyun nahin mangay, main aap ko kutch rupay day dayti, takay aap fakeer ki aur madad karsakain.


Ahmed sahab apni mummi ka hath pakray, muskuratay chalay ja rahay thay, aur iss sooch may khush thay kay aaj inhon nay kisi ki madad ki.


Ahmed ki Ammi, Mrs. Amoz nay phir dobara poocha…Ahmed? Are you listening?


Ahmed hanstay huay kehta hay,


Ahmed - Ammi ye sub bohot jaldi say hua, bus main chahata tha kay main unn fakeer sahab ki madad karon, magar kisi aur ki madad kay baghir…magar mairay pass tou kutch bhi nahin tha, par may bhool gaya tha kay mairay pass kutch tofeeyan baqi reh gaeen theen, mairi andar wali jaib may, jaisay hee mujhay khayal aaya tou mainay unhain day dee.


Mrs. Amoz nay Ahmed ki taraf daikh kar kaha.


Mrs. Amoz - shabash baita, ye tou aap ki bari acchi soch thee, amage aap ye karnay say pehlay Ammi ko bhi batta saktay thay, kiunkay may aik dum say dur gaee thee.


Ahmed nay kaha- Sorry Ammi. Ainda nahin karon ga, aur Ammi app nay daikha wo fakeer sahab bhi kitnay khush huay thay…


I was so happy Mummi.


Apnay chotay batchy ki ye choti si piyar bhai koshish daikh kar Mrs. Amoz ko bohot accha laga. Aur Ahmed ko piyar say apnay qareeb khainchtay huay donon maan bayta apnay rastay chul diyay.



Thori hee dair may.. Mrs. Amoz apni shopping puri karlaytin hain aur Ahmed ko uss ki kitab bhi dilla daitin hain, aur phir kehteen hain.


Mrs. Amoz - Ahmed, hum bhala ghar wapas kaisay ja saktay hain, baghir ice cream liyay?


Ahmed apni Ma ki ye baat suntay hee Khushi say uchal jata hay, kiyunkay Ahmed ko ice cream bohot pasadn hay.


Ahmed - Yay, Ice cream time….


Ahmed kehta hay - Ammi, Mango, vanilla aur chocolate wali leejiyee ga.


Mrs. Amoz, Okay baita.


Ghar pohonchtay hee Ahmed apnay walid Amoz Shakoor ko darwazay par khara daikhta hay aur bhagtay huay khusi say apnay Abbu ki janib lapakta hay aur unhain gallay laga layta hay.


Amoz - Salam bayta Ahmed, aaj aap ki aur aap ki Ammi ki bohot yaad aarahee thee tou foran ghar aagaya.


Ahmed kehta hay - Abbu, aaj aap kaam say jaldi aagayay, main aap ko daikh kar bohot khush hoon, thank you Abbu.


Ahmed kay Abbu, Amoz Shakoor apnay baitay ko gallay lagatay hain aur phir sur par piyar kartay huay kehtay hain,


Amoz - Ahmed baita, main bhi aap ko khush daikh kar bohot khush ho raha huin, and surprise, may nay wapas aatay huay raasaty may garam garam mazaydar biryani lay lee thee, challo ab, teenon sath khana khatay hain.


Ahmed ki walida, Mrs. Sabr Amoz ye sub kutch daikh kar muskurati hain aur kehti hain.


Mrs. Amoz - Tou phir challain kiyunkay desert ki tayaari tou hum donon maan bayta nay pehlay say hee kar rakhee hay. Chocolate, Vanilla and Mango Ice cream.


Aur phir teenon khanay ki maize ki taraf chalay jatay hain.


Ahmed ki subha, hur subha ki tarhan muskuratay huay hoti hay, Ahmed sahab, apni dua parhtay hain, aur bistar say jaisay hee nikaltay hain, tou un kay takiyay kay neechay say aik thayli zameen par gir jati hay,


Ahmed ussay uttha kar daikhta hay, aur kehta hay.


Ahmed - ye tou mayri nahin lugti…


Phir thora sochta hay, aur phir ahista say thaylee kholta hay,

wo thaylee, toffeyon say bharee hoti hay.


The End.

Agar aap ye kahani kisi baray kay sath sun rahain hain, phir tou aur bhi mazay ki baat hay, kiyunya ab aap dono mil kar, aik dosray kay sath kutch dair aik quiz khail saktain hain, aur aik dosary say pooch saktay hain kay aap dono ko iss kahani say kiya seeknay ko mila.


Humaain apnni rayay zaroor dijiyay ga.


Agli kahani tuk kay liyay, app sub ko...


salam….


Ye hay, Ahmed Nay Jub Sochna Seekha, aik kahani.com par.




bottom of page